Wajid Ali Shah Akhtar

nayab hai sukun dil-e-be-qarar mein

Wajid Ali Shah Akhtar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1823-1887
nāyāb hai sukūn dil-e-be-qarār meñ
bismil kī hai taḌap mire kunj-e-mazār meñ
gulzār-e-dahr meñ chaman-e-be-ḳhizāñ huuñ maiñ
laale kā rañg hai jigar-e-dāġh-dār meñ
kāñTā milā hai guuñj kā zulfoñ kā jaal hai
baalī kī machhlī haath lagī hai shikār meñ
nau laakh kī jabhī huī qīmat use nasīb
motī the mere ābloñ ke un ke haar meñ
ayyām-e-aish meñ ruḳh-e-daulat se hai alag
afsos par hamāre kaTe haiñ bahār meñ
jab se uḌī hai ḳhāk-e-alam rashk-e-māhtāb
ik āsmān aur hai mere ġhubār meñ
dhoī huī hai duudh se terī zabān-e-sāf
'aḳhtar' tū hī hai shā.iroñ ke e'tibār meñ
Top Urdushayar.com