Wajid Ali Shah Akhtar

sun rakkho use dil ka lagana nahin achchha

Wajid Ali Shah Akhtar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1823-1887
sun rakkho use dil kā lagānā nahīñ achchhā
duniyā ye burī hai ye zamāna nahīñ achchhā
sab luuT liyā ek nazar dekh ke mujh ko
ai duzd-e-nigah dil kā churānā nahīñ achchhā
kyuuñ jheñpte ho ġhairoñ meñ haañ phir to kaho vo
gaalī hī to thī baat banānā nahīñ achchhā
uryāñ-badanī par na habāboñ kī paḌe aañkh
dariyā meñ mirī jaan nahānā nahīñ achchhā
afsos kī sūrat na banāo na rulāo
dil pista hai hoñToñ kā chabānā nahīñ achchhā
rote haiñ hañsāte ho bharī bazm meñ sāhab
chup baiThe raho dhyān baTānā nahīñ achchhā
kūche se chale jā.iye 'aḳhtar' kahīñ ab aur
mazmūn bahut ishq kā chhānā nahīñ achchhā
Top Urdushayar.com