buto ḳhudā se Daro sañg dil sivā na karo
ye mom dil hai hamārā ise judā na karo
na ThanDī sāñseñ bharo daur-e-mai meñ ham-nafasāñ
ye aag bhaḌkegī mai-ḳhāne meñ havā na karo
ham āñkheñ band kareñ phir dikhāo rañgīnī
jo chor pakḌā hai tum shoḳhi-e-hinā na karo
chakor ham ko banāyā dikhā ke uryānī
ye khel chāñdnī meñ aa ke mah-laqā na karo
ġhazal meñ sher bahut narm ho ga.e 'aḳhtar'
ye kis zabān meñ kahte ho bad-maza na karo