sunā hai kuuch to un kā par is ko kyā kahiye
zabān-e-ḳhalq ko naqqāra-e-ḳhudā kahiye
misī lagā ke siyāhī se kyuuñ Darāte ho
añdherī rātoñ kā ham se to mājrā kahiye
hazār rāteñ bhī guzrīñ yahī kahānī ho
tamām kījiye is ko na kuchh sivā kahiye
huā hai ishq meñ ḳhāsān-e-haq kā rañg safed
ye qatl-e-ām nahīñ shoḳhi-e-hinā kahiye
turāb-e-pā-e-hasīnān-e-lakhna.ū hai ye
ye ḳhāksār hai 'aḳhtar' ko naqsh-e-pā kahiye