ai nasīm-e-saharī ham to havā hote haiñ
dam jo ghuTtā hai mohabbat meñ ḳhafā hote haiñ
ham faqīrāna ġhazal kahte haiñ ai shāh-e-jahāñ
ḳhair ho ḳhair ho masrūf-e-duā hote haiñ
bahr-e-ālam meñ ye insān haiñ mānind-e-habāb
dam meñ bante haiñ ye dam-bhar meñ fanā hote haiñ
ham ġharīboñ ko na is bazm se uThvā ai but
sohbat-e-ām meñ ḳhāsān-e-ḳhudā hote haiñ
ham meñ aur un meñ baḌhā rābta 'aḳhtar' itnā
ham pe vo sadqe haiñ ham un pe fidā hote haiñ