Wajid Ali Shah Akhtar

ishq se kuchh kaam ne kuchh ku-e-jaanan se gharaz

Wajid Ali Shah Akhtar

Lucknow, Uttar pradesh, India

1823-1887
ishq se kuchh kaam ne kuchh kū-e-jānāñ se ġharaz
gul se matlab hai na kuchh ḳhār-e-bayābāñ se ġharaz
ishq kī sarkār ko bebāk bilkul kar chuke
ab na kuchh zanjīr se matlab na zindāñ se ġharaz
kis se ham jhagḌeñ nahīñ apnā kisī millat meñ mel
ishq ke bande ko kyā gabr-o-musalmāñ se ġharaz
ālam-e-vahshat meñ uryānī kā jaama chāhiye
kaam hāthoñ ko garebāñ se na dāmāñ se ġharaz
terī nazroñ meñ na Thahregā ye rū-e-āftāb
tujh ko ai 'aḳhtar' na hogī māh-e-tābāñ se ġharaz
Top Urdushayar.com