Pritpal Singh Betab

maqam aur bhi aaenge la-makan ke baad

Pritpal Singh Betab

Poonch, Jammu and Kashmir, India

1949
maqām aur bhī ā.eñge lā-makān ke baad
zarūr hoñge jahāñ aur is jahān ke baad
shikasta par the mire aur ḳhatm thī parvāz
ik āsmān thā baaqī ik āsmān ke baad
jo kāmyābī milī vo hameñ ubūrī milī
kuchh imtihān the baaqī har imtihān ke baad
vo jaisā tai thā vahāñ kuchh bhī to na thā aisā
nishān koī nahīñ thā us ik nishān ke baad
zavāl aisā ki saare farāz past hue
nasheb-e-vahm bahut thā hadd-e-gumān ke baad
tavaqqo us kī thī mahdūd maiñ bhī chup hī rahā
safar ke aur bhī tohfe the armuġhān ke baad
vo pahlā ziina thā manzil jise abas jaanā
kuchh āgahī ke marāhil the aur dhyān ke baad
ik us kā TūTnā goyā shikast merī thī
chalā na tiir koī mujh se us kamān ke baad
rahā vo josh na vo daad hī rahī 'betāb'
sukūt rah gayā phir ḳhatm dāstān ke baad
Top Urdushayar.com