zaḳhm darkār haiñ siine ke liye
kuchh na kuchh chāhiye jiine ke liye
mai-kadā terā salāmat saaqī
aa ga.e the yūñhī piine ke liye
ghuT ke rah jaatī hai āvāz kī lau
har nafas bojh hai siine ke liye
zindagī kyā hai ye kis ko ma.alūm
log bas jiite haiñ jiine ke liye
koī andesha-e-tūfāñ bhī nahīñ
ġham ye kyā kam hai safīne ke liye
maiñ 'ziyā' huuñ koī suqrāt nahīñ
zahr kyoñ dete ho piine ke liye