Abdul Qavi Ziya

harf mein KHun-e-jigar kis ka hai

Abdul Qavi Ziya

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
harf meñ ḳhūn-e-jigar kis kā hai
ham se pūchho ye hunar kis kā hai
ajnabī hai na shanāsā koī
ek saaya sā magar kis kā hai
hijr kī shab ko lahū ham ne diyā
ab kaho rañg-e-sahar kis kā hai
ḳhalvat-e-jāñ meñ hai ik halchal sī
us taraf qasd-e-safar kis kā hai
tū agar sāmne maujūd nahīñ
husn tā-hadd-e-nazar kis kā hai
sañg hī sañg haiñ āñgan meñ 'ziyā'
pas-e-dīvār shajar kis kā hai
Top Urdushayar.com