Abdul Qavi Ziya

tere ghamon se ibarat hai ab KHushi meri

Abdul Qavi Ziya

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
tire ġhamoñ se ibārat hai ab ḳhushī merī
guzar rahī hai salīqe se zindagī merī
kabhī jo zarra-e-ḳhākī kā koī zikr chhiḌā
nigāh uTh ke sitāroñ pe jam ga.ī merī
ye aur baat ki jiine kā lutf aa na sakā
tire baġhair bhī guzrī hai zindagī merī
vo kaif hai ki ab aapā bhī koī hosh nahīñ
ye kis maqām pe laa.ī hai be-ḳhudī merī
palak palak pe sitāre saje hue haiñ 'ziyā'
ye un kā husn-e-nazar hai ki raushnī merī
Top Urdushayar.com