Abdul Qavi Ziya

mohabbat jag uTThi rag rag mein armanon ko nind aai

Abdul Qavi Ziya

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
mohabbat jaag uTThī rag rag meñ armānoñ ko niiñd aa.ī
haqīqat ne naqāb ulTī to afsānoñ ko niiñd aa.ī
chhalaktī hī rahī mai daur chaltā hī rahā lekin
rukī gardish un āñkhoñ kī to paimānoñ ko niiñd aa.ī
bichhe the phuul bhī har moḌ par fasl-e-bahārāñ meñ
magar i to kāñToñ par hī dīvānoñ ko niiñd aa.ī
sar-e-mahfil rahā ik ratjage kā sā samāñ shab bhar
palak jhapkī na sham.oñ kī na parvānoñ ko niiñd aa.ī
tajallī thī na tābānī tasavvur thā na partav thā
tire jaate hī saare ā.īna-ḳhānoñ ko niiñd aa.ī
mohabbat thī farozāñ dard kā ehsās thā jab tak
huī insāniyat ruḳhsat to insānoñ ko niiñd aa.ī
shab hijrāñ kā sannāTā hai taarī band haiñ āñkheñ
ye maut i ki tere soḳhta-jānoñ ko niiñd aa.ī
musalsal ishq meñ aalam rahā shab-zinda-dārī kā
sar-e-maqtal pahuñch kar tere dīvānoñ ko niiñd aa.ī
ghanī hai kis qadar chhāñv 'ziyā' kufr-e-mohabbat kī
magar is chhāñv meñ kitne hī īmānoñ ko niiñd aa.ī
Top Urdushayar.com