Abdul Qavi Ziya

aankhon mein hain jo KHwab koi jaanta nahin

Abdul Qavi Ziya

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
āñkhoñ meñ haiñ jo ḳhvāb koī jāntā nahīñ
is dil kā iztirāb koī jāntā nahīñ
hai apnī apnī pyaas kā har ek ko ḳhayāl
dariyā bhī hai sarāb koī jāntā nahīñ
ye jānte haiñ log ki anjām kyā huā
kyoñ aayā inqalāb koī jāntā nahīñ
zarre kī raushnī ko samajhte haiñ sab haqīr
hai vo bhī āftāb koī jāntā nahīñ
ik hashr sā bapā hai anāsir ke darmiyāñ
kis meñ hai kitnī taab koī jāntā nahīñ
da.avā to apne ilm kā sab ko hai ai 'ziyā'
kyā chiiz hai kitāb koī jāntā nahīñ
Top Urdushayar.com