qabr meñ ab kisī kā dhyān nahīñ
sach hai jab jī nahīñ jahān nahīñ
band bulbul hī kī zabān nahīñ
varna gul to hilāte kaan nahīñ
dil ne ḳhud ulfat-e-kamar kī hai
is meñ kuchh merā darmiyān nahīñ
abhī kyā kyā na hogā harj nasīb
ham nahīñ haiñ ki imtihān nahīñ
dair kyuuñ zāhidoñ ne chhoḌ diyā
kyā butoñ meñ ḳhudā kī shaan nahīñ
shams kaisā chamak ke niklā hai
aaj merā jo mehrbān nahīñ
baat kyā hai 'saḳhī' jo vo ham se
aise chup haiñ ki kuchh bayān nahīñ