kaalā jaadū phail rahā hai
aur ḳhudā ḳhāmosh khaḌā hai
kaale saa.e naach rahe haiñ
chaar taraf pur-shor havā hai
aag dikhā kar jalne vaalo
kis kī aag meñ kaun jalā hai
saañs bhī tum lete ho kyūñ-kar
uff kitnī masmūm havā hai
lākhoñ bheḌeñ dauḌ rahī haiñ
ek gaDariyā haañk rahā hai
raqs-kunāñ huuñ ik rassī par
aur tavāzun bigaḌ rahā hai
maiñ raste ko DhūñD rahā huuñ
rasta mujh ko DhūñD rahā hai
kaun hai ye betāb jo kab se
raste meñ chup-chāp khaḌā hai