hijāb koī nahīñ hai naqāb koī nahīñ
mirī khulī huī āñkhoñ meñ ḳhvāb koī nahīñ
hai bas sukūñ hī sukūñ iztirāb koī nahīñ
is inqalāb ke baad inqalāb koī nahīñ
hayāt-e-ishq meñ ye vaqfa-e-sukūñ kaisā
savāl koī nahīñ hai javāb koī nahīñ
jahān-e-ilm kā yaaro ajiib hai dastūr
ki madrase to bahut haiñ nisāb koī nahīñ
shab-e-siyah meñ bhalā kaun aane vaalā hai
koī nahīñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb koī nahīñ
talab kī raah meñ har shaḳhs hai barābar kā
yahāñ sabhī haiñ samundar sarāb koī nahīñ
shab-e-firāq kuchh is tarah mutma.in huuñ 'ziyā'
ki jaise dīda-o-dil par azaab koī nahīñ