Abdul Qavi Ziya

dekh kar baam-o-dar ka sannaTa

Abdul Qavi Ziya

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
dekh kar bām-o-dar kā sannāTā
bol uThtā hai ghar kā sannāTā
ai mohabbat ik āḳhirī āvāz
phir to hai umr bhar kā sannāTā
koī sūrat na koī ā.īna
dīdanī hai nazar kā sannāTā
likh rahī hai sahar ke māthe par
raat apne safar kā sannāTā
kyā yahī hai uḌaan kā mausam
aam hai bāl-o-par kā sannāTā
kis ko āvāz de musāfir-e-ġham
be-jahat hai safar kā sannāTā
āsmāñ par hai āḳhirī taarā
dam-ba-ḳhud hai sahar kā sannāTā
ho na ho koī aane vaalā hai
kah rahā hai ye ghar kā sannāTā
chaap qadmoñ kī bhī nahīñ hai 'ziyā'
ham haiñ aur rahguzar kā sannāTā
Top Urdushayar.com