jo ek pal ko bujhe bazm-e-rañg-o-bū ke charāġh
to ham ne daar pe raushan kiye lahū ke charāġh
havā-e-tīra-nasab kyā bujhā sakegī unheñ
ki āñdhiy.oñ meñ bhī jalte haiñ aarzū ke charāġh
adā-e-mausam-e-gul kā kamāl kyā kahiye
kalī kalī se farozāñ hue numū ke charāġh
bujhī jo sub.h to sīnoñ meñ dil jalā.e ga.e
huī jo shaam to raushan hue subū ke charāġh
ye naqsh-e-pā haiñ mire yā savād-e-manzil tak
qadam qadam pe numāyāñ haiñ justujū ke charāġh
kabhī kabhī to 'ziyā' vo bhī vaqt aatā hai
bujhāne paḌte haiñ ḳhud apnī aarzū ke charāġh