Abdul Qavi Ziya

dil to kya jaan se guzarna aaya

Abdul Qavi Ziya

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
dil to kyā jaañ se guzarnā aayā
jī uThe log jo marnā aayā
sarf jab tak na huā dil kā lahū
harf meñ rañg na bharnā aayā
ho ga.e saare samundar pāyāb
jab hameñ paar utarnā aayā
fasl-e-gul i to har ġhunche ko
zaḳhm kī tarah nikharnā aayā
jo nafas thā vo rahā garm-e-safar
kab musāfir ko Thaharnā aayā
ik gul-e-tar kī mohabbat meñ hameñ
kitne kāñToñ se guzarnā aayā
vo adab ishq ne baḳhshā ki hameñ
muddatoñ baat na karnā aayā
dil pe apne jo paḌī zarb 'ziyā'
TuuT kar ham ko bikharnā aayā
Top Urdushayar.com