nā-mukammal haiñ abhī takmila-e-zāt kareñ
in ko dekheñ to ḳhud apne se mulāqāt kareñ
aap aa.eñ to zarā aap se kuchh baat kareñ
hoñT sī leñ magar āñkhoñ se savālāt kareñ
gardishoñ se ye kaho ruḳh na kareñ ghar kī taraf
ab vo ham se sar-e-mai-ḳhāna mulāqāt kareñ
aap ke baare meñ sochā to bahut thā lekin
ab ham is soch meñ haiñ aap se kyā baat kareñ
ruḳh pe kyā rañg hai kaisī hai in āñkhoñ kī fazā
dil jo Thahre to kuchh andāza-e-hālāt kareñ
ghar kī tanhā.ī se kyoñ itne pareshāñ ho 'ziyā'
aao ik but ke havāle se basar raat kareñ