Abdul Qavi Ziya

phul gham ke khile rahe barson

Abdul Qavi Ziya

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
phuul ġham ke khile rahe barsoñ
dard ke silsile rahe barsoñ
zindagī thī bahut aziiz magar
zindagī se gile rahe barsoñ
un guloñ ke nasab kā kyā kahnā
dhuup meñ jo khile rahe barsoñ
ishq thī baat ek lamhe kī
hoñT apne sile rahe barsoñ
dostoñ kī to baat apnī jagah
ham ko ḳhud hī gile rahe barsoñ
ek ta.abīr bhī milī na 'ziyā'
ḳhvāb ke silsile rahe barsoñ
Top Urdushayar.com