koī bastī koī qarya nahīñ hai
jahāñ maiñ ne tujhe paayā nahīñ hai
jidhar dekho sukūt-e-bekarāñ hai
sar-e-maqtal to sannāTā nahīñ hai
diye bujh jaa.eñ to bujhtī nahīñ hai
havā ko kyuuñ ye andāza nahīñ hai
ajab bastī hai jis meñ aa base haiñ
sabhī jhūTe koī sachchā nahīñ hai
'ziyā' maiñ ne jise samjhā hai barsoñ
use dekhā magar dekhā nahīñ hai