us kā kamāl hai ki ḳhizāñ par bahār hai
hadd-e-nazar talak jo tilismī hisār hai
aage bhī sub.h tak nahīñ raushan koī surāġh
pīchhe bhī duur duur ye tārīk ġhaar hai
jhoñke kahīñ se aate haiñ taaza havāoñ ke
kunj-e-qafas kahīñ koī rāh-e-farār hai
in ābloñ ko paañv se nisbat hai dā.imī
aage yahī safar hai yahī ḳhārzār hai
thā ik shajar buland jo āñdhī meñ gir gayā
bastī tamām us ke liye sogvār hai
'betāb' tum faqīr kahāñ aa ga.e miyāñ
is shahr meñ ik ek bashar shahr-e-yār hai