Abdul Qavi Ziya

teri aankhon ka manzar samne hai

Abdul Qavi Ziya

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925
tirī āñkhoñ kā manzar sāmne hai
maiñ pyāsā huuñ samundar sāmne hai
anā baḌhne nahīñ detī hai aage
mire raste kā patthar sāmne hai
ḳhayāloñ se hai kosoñ duur lekin
nigāhoñ meñ vo aksar sāmne hai
maiñ ḳhud se roz hotā huuñ baġhal-gīr
mirā apnā hī paikar sāmne hai
na jalva hai na ā.īna hai koī
ye hairat hai vo kyūñkar sāmne hai
masāfat hai ik ā.īna-nazar kā
kahīñ jā.ūñ mirā ghar sāmne hai
khilā hai ai 'ziyā' nazroñ meñ ik phuul
koī sūrat badal kar sāmne hai
Top Urdushayar.com