raat charāġh kī mahfil meñ shāmil ek zamāna thā
lekin saath meñ jalne vaalī raat thī yā parvāna thā
ḳhizar nahīñ rahzan hī hogā raah meñ jis ne luuT liyā
lekin yaaro shak hotā hai kuchh jaanā pahchānā thā
shab-bhar jis rūdād-o-alam par ashk bahāte guzrī thī
sub.h huī to ham ne jaanā apnā hī afsāna thā
kaun hamāre dard ko samjhā kis ne ġham meñ saath diyā
kahne ko to saath hamāre tum kyā ek zamāna thā
log use jo chāheñ kah leñ apnā to ye haal rahā
sirf unhīñ se zaḳhm mile haiñ jin se kuchh yārāna thā
maslahatoñ kī is bastī meñ lab khulte ye taab na thī
vaz-e-junūñ kī baat na pūchho vo bhī ek bahāna thā
talḳhī-e-ġham pahuñche the bhulāne sūd-o-ziyāñ meñ uljhe haiñ
bāda-faroshoñ kī manDī thī naam magar mai-ḳhāna thā
jin kī ḳhātir ham ne apnā zauq-e-talab badnām kiyā
aaj vahī kahte haiñ hañs kar shā.ir thā dīvāna thā