kāñToñ meñ hī kuchh zarf-e-samā.at nazar aa.e
gulshan meñ kahīñ to merī rūdād sunī jaa.e
is kārgah-e-shīsha meñ ā.īna huuñ maiñ bhī
chehra nahīñ koī to koī sañg hī aa.e
gul-gasht kā ab zauq na kuchh qadr-e-bahārāñ
ik umr se huuñ zaḳhmoñ kā gulzār sajā.e
manzil kā hai imkāñ na koī ḳhatm-e-safar kā
is ābla-pā.ī ko koī naam diyā jaa.e
is vādī-e-kohsār meñ patthar hī nahīñ haiñ
hai aur bahut kuchh bhī kisī ko to nazar aa.e
haañ tez bahut tez hai ab vaqt kī raftār
is dil kā karūñ kyā ki jo chal paa.e na ruk paa.e
tāñbe sī zamīñ aur sivā neze pe sūraj
taqdīr ne yuuñ hashr ke āsār dikhā.e
ik gard-e-masāfat thī jo chehre se na utrī
vaise to yahāñ ham ne ka.ī shahr basā.e
'imdād'-nizāmī na suḳhnavar the na shā.er
kuchh zaḳhm amānat the kisī kī vahī le aa.e