Bedar Sarmadi

kiran mein phir se badalne laga KHayal us ka

Bedar Sarmadi

kiran meñ phir se badalne lagā ḳhayāl us kā
utar rahā hai na.e chāñd par jamāl us kā
gayā hai shāḳh se vo is liye ki shāḳh rahe
huā to biij kī sūrat huā zavāl us kā
jiyūñgā maiñ bhī hamesha ki jāvedāñ hai vo
maiñ jī rahā huuñ ki ye saal bhī hai saal us kā
vo le gayā hai mirī aañkh apnī bastī meñ
ki mere saath rahe rābta bahāl us kā
maiñ sirf paanī kī chhāgal sahī magar 'bedār'
huā gulāb mire dam se baal baal us kā
Top Urdushayar.com