Mahshar Inayati

nazar hairat-zada si hai qadam bahke hue se hain

Mahshar Inayati

1909-1976
nazar hairat-zada sī hai qadam bahke hue se haiñ
shabāb aayā hai un par aur ham bahke hue se haiñ
abhī un ke karam kī baat apne husn-e-zan tak hai
magar ummīd-vārān-e-karam bahke hue se haiñ
vafā ke silsile meñ ho hī jaatī hai ġhalat-fahmī
vo bahkā.e ga.e se haiñ na ham bahke hue se haiñ
baḌe zī-hosh bante the mai-e-ishrat ke matvāle
huā hai jab se kuchh ehsās-e-ġham bahke hue se haiñ
unheñ ā.īna-ruḳh kahiye unhīñ ke sāmne jā kar
ye andāza to hotā hai ki ham bahke hue se haiñ
kahā karte the ham akasr ki rāh-e-zindagī hai kyā
jo ab dekhe haiñ us ke pech-o-ḳham bahke hue se haiñ
mirī duniyā hai ye ahl-e-junūñ kyā hosh vaale kyā
mirī duniyā meñ sab hī besh-o-kam bahke hue se haiñ
ḳhudā rakkhe chale haiñ manzil-e-jānāñ ko sar karne
vo dekho nā yahīñ jin ke qadam bahke hue se haiñ
har ik ne mujh ko dīvāna hī Thahrāyā hai ai 'mahshar'
sabhī qissa-nigāroñ ke qalam bahke hue se haiñ
Top Urdushayar.com