Mahshar Inayati

ghuncha-e-dil ki bikharta bhi dikhai na diya

Mahshar Inayati

1909-1976
ġhuncha-e-dil ki bikhartā bhī dikhā.ī na diyā
aisā bikhrā ki ishārā bhī dikhā.ī na diyā
kis ke ham-rāh nazar aatā thā tanhā tanhā
kis se bachhḌā huuñ ki tanhā bhī dikhā.ī na diyā
raushnī kī vo chakā-chauñdh thī āñkhoñ meñ ki ham
shahr se nikle to sahrā bhī dikhā.ī na diyā
sard-mehrī-e-zamāna kī sulagtī huī aag
kyā balā thī ki dhuāñ sā bhī dikhā.ī na diyā
un kitāboñ pe to ham ne bhī kiyā hai kuchh kaam
jin meñ ik harf-e-tamannā bhī dikhā.ī na diyā
bas chale the ki ġhubār-e-rah-e-manzil uTThā
chehre vo badle ki apnā bhī dikhā.ī na diyā
raat bhar ḳhuun ke dariyā meñ nahāyā ḳhurshīd
dāman-e-sub.h pe dhabbā bhī dikhā.ī na diyā
saarā aalam thā ki tārīk nazar aatā thā
aur 'mahshar' ko dhuñdlakā bhī dikhā.ī na diyā
Top Urdushayar.com