Pritpal Singh Betab

zabton ki aur qadron ki rawani dekhna

Pritpal Singh Betab

Poonch, Jammu and Kashmir, India

1949
zābtoñ kī aur qadroñ kī ravānī dekhnā
phir havā meñ chār-sū ik bad-gumānī dekhnā
lamha lamha phailtā hī jā rahā hai chār-sū
shahr meñ jañgal kī ik din be-karānī dekhnā
chāhtā hai vo mujhe ḳhush dekhnā har haal meñ
chhīn legā mujh se merī nauha-ḳhvānī dekhnā
aane vaalī aur abhī rāteñ haiñ tārīk-o-muhīb
aur utreñgī balā.eñ āsmānī dekhnā
dhuup niklegī to bah nikleñge phir se ābshār
barf dohrā.egī phir apnī kahānī dekhnā
apnā ghar ham ne basāyā hai lab-e-dariyā to phir
bām-o-dar tak aa.egā ik roz paanī dekhnā
ā.eñge 'betāb' mausam phir chanāroñ par na.e
lā.eñge rañgoñ kī ik taaza kahānī dekhnā
Top Urdushayar.com