Mahshar Inayati

zindagi se thak ke us kuche mein hun baiTha hua

Mahshar Inayati

1909-1976
zindagī se thak ke us kūche meñ huuñ baiThā huā
jaise apne vaqt kā suufī baḌā pahuñchā huā
jis tarah bādal baras jaa.eñ nikhar jaane ke ba.ad
aaj aañsū bah ke dil kā bojh kuchh halkā huā
jaane kab se dhuup meñ pyāse paḌe the ḳhār-e-dasht
mere talvoñ kā sahārā mil gayā achchhā huā
shahr-e-be-ehsās meñ merī sadā-e-ehtijāj
tiir ho jaise añdhere meñ koī chhoḌā huā
tarz-e-istifsār kab hai merī bātoñ kā javāb
ye koī andāz hai phir kyā huā phir kyā huā
zindagī raqsāñ ho 'mahshar' jhuum uTThe kā.enāt
ḳhvāb se uTThā huuñ maiñ añgḌā.iyāñ letā huā
Top Urdushayar.com