Mahshar Inayati

KHush hain bahut mizaj-e-zamana badal ke hum

Mahshar Inayati

1909-1976
ḳhush haiñ bahut mizāj-e-zamānā badal ke ham
lekin ye sher kis ko sunā.eñ ġhazal ke ham
ai maslahat chaleñ bhī kahāñ tak sambhal ke ham
andāz kah rahe haiñ ki insāñ haiñ kal ke ham
shāyad urūs-e-zīst kā ghūñghaT ulaT gayā
ab DhūñDne lage haiñ sahāre ajal ke ham
badleñ zarā nigāh ke andāz aap bhī
uTThe haiñ kuchh usuul vafā ke badal ke ham
jaise thakā thakā koī gum-karda kārvāñ
uThte haiñ baiTh jaate haiñ kuchh duur chal ke ham
hañsnā to darkinār hai ro bhī nahīñ sake
'mahshar' chale haiñ kis kī galī se nikal ke ham
Top Urdushayar.com