na ġhair hī mujhe samjho na dost hī samjho
mire liye ye bahut hai ki aadmī samjho
maiñ rah rahā huuñ zamāne meñ saa.e kī sūrat
jahāñ bhī jaao mujhe apne saath hī samjho
har ek baat zabāñ se kahī nahīñ jaatī
jo chupke baiThe haiñ kuchh un kī baat bhī samjho
guzar to saktī haiñ rāteñ jalā jalā ke charāġh
magar ye kyā ki añdhere ko raushnī samjho
vo sher kahne lage ho tum ab to ai 'mahshar'
na koī aur hī samjhe na aap hī samjho