masarratoñ kī sā.atoñ meñ iḳhtisār kar liyā
hayāt-e-ġham ko ham ne aur sāzgār kar liyā
qasam jab us ne khaa.ī ham ne e'tibār kar liyā
zarā sī der zindagī ko ḳhush-gavār kar liyā
vo aaj chāhte the baat kuchh baḌhe magar vo ham
ki baat baat par sukūt iḳhtiyār kar liyā
kaho ki mehr-e-sub.h-tāb aa.e ho ke be-naqāb
koī bas aa chukā kisī kā intizār kar liyā
qadam qadam pe hādse qadam qadam pe inqilāb
hameñ to dekho zindagī kā e'tibār kar liyā