fikr-e-tajdīd-e-rivāyāt-e-kuhan aaj bhī hai
haq-bayānī kā sila dār-o-rasan aaj bhī hai
pāsbānān-e-chaman kī ravish-e-korāna
vaj.h-e-rusvā.i-e-ā.īn-e-chaman aaj bhī hai
mai-e-pindār ke do ghūñT kī bardāsht kise
thā jo pahle vo bahakne kā chalan aaj bhī hai
rahnumā haiñ ki sar-e-rāh aḌe baiThe haiñ
kārvāñ hai ki sazā-vār-e-mehan aaj bhī hai
vaqt ke nabz-shanāsoñ se kaho tez chaleñ
ḳhud-fareboñ kī jabīnoñ pe shikan aaj bhī hai
kar chukā hai jo har ik daur meñ tiryāq kā kaam
mere sāġhar meñ vahī zahr-e-suḳhan aaj bhī hai
vahī 'mahshar' jo nigāhoñ meñ khaTaktā hī rahā
apnī bebāk-bayānī pe magan aaj bhī hai