haar kar hijr-e-nā-tamām se ham
chupke baiThe hue haiñ shaam se ham
kaise itrā rahe haiñ apnī jagah
ho ke mansūb un ke naam se ham
bas ki dīvāna hī kaheñge log
āshnā haiñ mazāq-e-ām se ham
un kī āñkhoñ ko jaam kah to diyā
ab nigāheñ laḌā.eñ jaam se ham
ruḳh pe zulfeñ bikhere aa jaao
lau lagā.e hue haiñ shaam se ham
naam kyuuñ leñ kisī ke kūche kā
ik jagah jā rahe haiñ kaam se ham
un ko paanā hai kis liye 'mahshar'
baaz aa.eñ ḳhayāl-e-ḳhām se ham