fareboñ se na bahlegā dil-e-āshufta-kām apnā
ba-zāhir muskurā kar dekhne vaale salām apnā
kisī kī bazm ke hālāt ne samjhā diyā mujh ko
ki jab saaqī nahīñ apnā to mai apnī na jaam apnā
agar apne dil-e-betāb ko samjhā liyā maiñ ne
to ye kāfir nigāheñ kar sakeñgī intizām apnā
mukammal kar gayā jal kar hayāt-e-ġham ko parvāna
aur ik ham the ki afsāna bhī chhoḌā nā-tamām apnā
jahān-e-ishq meñ aise maqāmoñ se bhī guzrā huuñ
ki bāz-auqāt ḳhud karnā paḌā hai ehtirām apnā
maiñ dīvāna sahī lekin vo ḳhush-qismat huuñ ai 'mahshar'
ki duniyā kī zabāñ par aa gayā hai aaj naam apnā