Mahshar Inayati

tere suluk-e-taghaful se ho ke saudai

Mahshar Inayati

1909-1976
tire sulūk-e-taġhāful se ho ke saudā.ī
chalā huuñ maiñ to kuchh aage chalī hai rusvā.ī
nayā nayā hai abhī jazba-e-ḳhud-ārā.ī
ḳhudā kare ki na aa.e ḳhayāl-e-yaktā.ī
tabī.atoñ meñ baḌā iḳhtilāf hotā hai
mujhe to arz-e-tamannā pe sharm sī aa.ī
hayāt-e-ishq ke ye pech o ḳham nasheb o farāz
inhīñ kā naam hai shāyad kisī kī añgḌā.ī
jo aaj zikr chalā āstīñ ke sāñpoñ kā
to mujh ko apne ka.ī dostoñ kī yaad aa.ī
tumhārī yaad ko rah rah ke gher laatī hai
mah o nujūm kī tābish guloñ kī rānā.ī
talab kī maut samajhiye rah-e-talab meñ qayām
baḌā ġhalat hai taqāzā-e-ābla-pā.ī
tamām umr meñ pahuñchā huuñ is natīje par
nashāt-e-bazm se behtar hai dard-e-tanhā.ī
vo ibtidā-e-mohabbat kī guftugū 'mahshar'
bajā rahā ho koī duur jaise shahnā.ī
Top Urdushayar.com