Mahshar Inayati

sanware hai gesu to dekha kare hai

Mahshar Inayati

1909-1976
sañvāre hai gesū to dekhā kare hai
vo ab dil ko ā.īna jaanā kare hai
na bāteñ kare hai na dekhā kare hai
magar mere baare meñ sochā kare hai
mohabbat se vo dushmanī hai ki duniyā
havā bhī lage hai to charchā kare hai
tumhārī tarah bevafā kaun hogā
hameñ vaqt ab tak pukārā kare hai
guzarte to ham bhī haiñ us kī galī se
sunā hai vo chhup chhup ke dekhā kare hai
ik aatī hai manzil ki har husn vaalā
tamannā.iyoñ kī tamannā kare hai
vahāñ lā ke chhoḌā hai us ne ki insāñ
jahāñ zahr khānā gavārā kare hai
gile karte phiriye ki dīvāna baniye
paḌī hai vo aisoñ kī parvā kare hai
jo ġhuncha sar-e-shām chaTke to samjho
kisī par vafā kā taqāzā kare hai
kisī ne unheñ ye sujhā dī ki 'mahshar'
tumheñ sher kah kah ke rusvā kare hai
Top Urdushayar.com