jin se maqsūd haiñ manzil ke nishānāt mujhe
bhūlte jaate haiñ vo saare ishārāt mujhe
rāh-e-irfān meñ bhaTke haiñ kuchh aise donoñ
maiñ use DhūñDhtā huuñ aur mirī zaat mujhe
un ke Dar se ka.ī rāteñ mirī be-ḳhvāb rahīñ
DhūñDhtī phirtī haiñ ḳhvāboñ meñ jo āfāt mujhe
dūsroñ ke liye vāfir haiñ mire paas javāb
kitne mushkil haiñ magar apne savālāt mujhe
yahīñ raushan hai kisī ek ḳharābe meñ charāġh
ik zarā raah dikhā de ye siyah raat mujhe
chhīn letā hai kabhī mere mahāsin 'betāb'
baḳhsh detā hai kabhī apnī karāmāt mujhe