Nazish Kashmiri

dhul se rah aTi ho gai manzil madum

Nazish Kashmiri

dhuul se raah aTī ho ga.ī manzil ma.adūm
kyā ḳhabar kyā hai mire azm-e-safar kā maqsūm
jism ālūda-e-isyāñ hai magar ruuh mirī
kitnī pākīza nazar aatī hai kitnī ma.asūm
DhūñDh kar laao koī hādisa-e-qalb-o-nazar
shāyad ā.īna ho yuuñ ziist kā maḳhfī mafhūm
tire paikar kī jhalak daulat-e-ālam varna
rañg aur nuur ke is sail kī vaq.at mālūm
sūrat-e-harf-e-ġhalat miT ga.e ham tā ki sadā
lauh-e-duniyā pe rahe naam tumhārā marqūm
jur.at-e-jaur-o-sitam kab thī kisī meñ 'nāzish'
ḳhud mire hāthoñ rahī hai mirī hastī mazlūm
Top Urdushayar.com