sar jazīroñ ke phir se ubharne lage
vo jo paanī chaḌhe the utarne lage
ab kisī dost se koī shikva nahīñ
vaqt ke saath sab zaḳhm bharne lage
ham ne maazī meñ Thukrā.ī haiñ manzileñ
rāste meñ kahāñ ham Thaharne lage
mauj-dar-mauj ḳhushkī thī pesh-e-nazar
shor andar ke dariyā bhī karne lage
aise kyā jurm sarzad hue arz par
log apne hī saa.e se Darne lage
aaj phir aap lāġhar haiñ sūraj miyāñ
dhuup meñ log phir se ThiThurne lage
kaun se mansaboñ kī mohabbat meñ ham
apne mansab se nīche utarne lage
tum ne sahrā meñ chhoḌe the jo naqsh-e-pā
aaj vo āñdhiyoñ meñ bikharne lage