ashk jab dīda-e-tar se niklā
ek kāñTā sā jigar se niklā
phir na maiñ raat ga.e tak lauTā
Dūbtī shaam jo ghar se niklā
ek mayyat kī tarah lagtā thā
chāñd jab qaid-e-sahar se niklā
mujh ko manzil bhī na pahchān sakī
maiñ ki jab gard-e-safar se niklā
haa.e duniyā ne use ashk kahā
ḳhuun jo zaḳhm-e-nazar se niklā
ik amāvas kā nasība huuñ maiñ
aaj ye chāñd kidhar se niklā
jab uḌā jānib-e-manzil 'aḳhtar'
ek sho.ala mire par se niklā