Akhtar Imam Rizvi

wo KHud to mar hi gaya tha mujhe bhi mar gaya

Akhtar Imam Rizvi

vo ḳhud to mar hī gayā thā mujhe bhī maar gayā
vo apne rog mirī ruuh meñ utaar gayā
samundaroñ kī ye shorish usī kā mātam hai
jo ḳhud to Duub gayā mauj ko ubhār gayā
havā ke zaḳhm khule the udaas chehre par
ḳhizāñ ke shahar se koTī to pur-bahār gayā
añdherī raat kī parchhā.iyoñ meñ Duub gayā
sahar kī khoj meñ jo bhī ufuq ke paar gayā
vo raushnī kā musāfir maiñ tīrgī kā dhuāñ
to phir bhalā vo mujhe kis liye pukār gayā
meñ apne soch ke ham-zād kā pujārī thā
tirā jalāl mirī āqibat sañvār gayā
Top Urdushayar.com