Akhtar Imam Rizvi

jo sang ho ke mulaem hai sadgi ki tarah

Akhtar Imam Rizvi

jo sañg ho ke mulā.em hai sādgī kī tarah
pighal rahā hai mire dil meñ chāñdnī kī tarah
mujhe pukāro to dīvār huuñ suno to sadā
maiñ gūñjtā huuñ fazāoñ meñ ḳhāmushī kī tarah
maiñ us ko nuur kā paikar kahūñ ki jān-e-ḳhayāl
jo mere dil pe utartā hai shā.irī kī tarah
kisī kī yaad ne mahkā diyā hai zaḳhm-e-talab
sabā ke haath se maslī huī kalī kī tarah
thakā huā huuñ kisī saa.e kī talāsh meñ huuñ
bichhaḌ gayā huuñ sitāroñ se raushnī kī tarah
maiñ apne karb meñ ġhaltāñ vo apne kaif meñ gum
hai is kī jiit bhī merī shikast hī kī tarah
ḳhizāñ ke zahr kā tiryāk agar nahīñ yaaro
guloñ kī baat hai be-vaqt rāgnī kī tarah
Top Urdushayar.com