chāñdnī ke haath bhī jab ho ga.e shal raat ko
apne siine par sambhālā maiñ ne bojhal raat ko
raat bhar chhāyā rahā ghar kī fazā par ik hirās
dastakeñ detā thā dar par koī pāgal raat ko
chāñdnī meñ ghul gayā jab dil kī māyūsī kā zahr
maiñ ne ḳhud kafnā diyā sāyoñ meñ komal raat ko
karb ke laave ubalte the sukūñ ke ās-pās
uf vo nīndeñ vo girāñ-ḳhvābī kī daldal raat ko
aaj phir dhundlā ga.ī 'aḳhtar' mirī shām-e-firāq
sochtā huuñ aaj phir barseñge bādal raat ko