har but yahāñ TuuTe hue patthar kī tarah hai
ye shahar to ujḌe hue mandar kī tarah hai
maiñ tishna-e-dīdār ki jhoñkā huuñ havā kā
vo jhiil meñ utre hue manzar kī tarah hai
kam-zarf zamāne kī hiqārat kā gila kyā
maiñ ḳhush huuñ mirā pyaar samundar kī tarah hai
is charḳh kī taqdīs kabhī raat ko dekho
ye qabr pe phailī huī chādar kī tarah hai
maiñ sang-e-tah-e-āb kī sūrat huuñ jahāñ meñ
aur vaqt bhī so.e hue sāgar kī tarah hai
rote haiñ bagūle mire dāman se lipaT kar
sahrā bhī tabī.at meñ mire ghar kī tarah hai
ash.ār mire dard kī ḳhairāt haiñ 'aḳhtar'
ik shaḳhs ye kahtā thā ki ġham zar kī tarah hai