Akhtar Imam Rizvi

duniya bhi pesh aai bahut be-ruKHi ke sath

Akhtar Imam Rizvi

duniyā bhī pesh aa.ī bahut be-ruḳhī ke saath
ham ne bhī zaḳhm khaa.e baḌī sādgī ke saath
ik musht-e-ḳhāk aag kā dariyā lahū kī lahr
kyā kyā rivāyateñ haiñ yahāñ aadmī ke saath
apnoñ kī chāhatoñ ne bhī kyā kyā diye fareb
rote rahe lipaT ke har ik ajnabī ke saath
jañgal kī dhuup chhāñv hī jañgal kā husn hai
sāyoñ ko bhī qubūl karo raushnī ke saath
tum rāste kī gard na ho jaao to kaho
do-chār gaam chal ke to dekho kisī ke saath
koī dhuāñ uThā na koī raushnī huī
jaltī rahī hayāt baḌī ḳhāmushī ke saath
Top Urdushayar.com