apnā dukh apnā hai pyāre ġhair ko kyuuñ uljhāoge
apne dukh meñ pāgal ho kar ab kis ko samjhāoge
dard ke sahrā meñ lākhoñ umiid ke lāshe galte haiñ
ek zarā se dāman meñ tum kis kis ko kafnāoge
toḌ bhī do ehsās ke rishte chhoḌ bhī do dukh apnāne
ro ro ke jīvan kāTo.ge ro ro ke mar jāoge
raaz kī baat ko ḳhāmoshī kā zahr samajh kar pī jaanā
kahne se bhī rah na sakoge kah kar bhī pachhtāoge
aaj yahāñ pardoñ se udhar uryānī hī uryānī hai
tum bhī nañge ho kar nācho yuuñ kab tak sharmāoge