josh par aayā nahīñ hai raqs-e-mastāna abhī
rahne do gardish meñ thoḌī der paimāna abhī
jaam ḳhālī ho kisī kā koī ḳhum ke ḳhum chaḌhā.e
yaar samjhe hī nahīñ ādāb-e-mai-ḳhāna abhī
ik zarā pīr-e-muġhāñ de de hameñ bhī iḳhtiyār
lā ke joban par dikhā sakte haiñ mai-ḳhāna abhī
ishq kī fitrat na badlī hai na badlegī kabhī
sham.a raushan kījiye aatā hai parvāna abhī
de diyā dil ham ne puurā ho gayā yuuñ ek baab
maan jaa.eñ aap to puurā hai afsāna abhī
sun rahe haiñ aa rahī hai har taraf taaza bahār
apnā ghar kyuuñ lag rahā hai mujh ko vīrāna abhī
ai 'farīdī' vo satāte haiñ satā lene bhī do
kam-sinī hai aur haiñ andāz-e-tiflāna abhī