jab maiñ royā huuñ vo ro.e haiñ ye ulfat mere saath
muddatoñ barsā kiyā hai abr-e-rahmat mere saath
jaan jaa.e yaar hai dil ko rahegā pās-e-ishq
qabr meñ jā.eñge tere rāz-e-ulfat mere saath
detī hai tarġhīb naale kī ki har āzurda-dost
dushmanī kartī hai ab merī mohabbat mere saath
maiñ to huuñ dil-dāda-e-ulfat kaho maiñ kyā karūñ
dil-rubā ho kar karo tum jab ye ulfat mere saath
shakl terī sāmne āñkhoñ ke hai āThoñ-pahar
yaad terī hai sharīk-e-ranj-o-rāhat mere saath
ban gayā betāb dil ik mahsharistān-e-ḳhayāl
ḳhvāb meñ jab vo hue sargarm-e-ulfat mere saath
yaad ab bhūle se bhī sub.h-e-vatan aatī nahīñ
ho ga.ī mānūs aisī shām-e-ġhurbat mere saath
dil meñ dhaḌkan lab pe naale chashm-e-tar meñ ashk-e-ḳhūñ
kyā kahūñ kyā kar ga.ī terī mohabbat mere saath
yaad aatā hai ye raftār-e-qamar ko dekh kar
sair kartā thā yuuñ hī vo māh-tal.at mere saath
tū hai aur terī nazar meñ ik qayāmat kā ġhurūr
maiñ huuñ aur ik mahshar-e-armān-o-hasrat mere saath
vo to ruḳhsat kar ke mujh ko ghar meñ jā baiThe magar
yaad un kī duur tak aa.ī thī 'shaukat' mere saath